Saturday, January 8, 2011

yeh poem padhkar mujhe meri memory flashback mein chali gayi.. and hum thode emotional ho gaye.. Hope aapko bhi pasand aayegi!!!

Jab main chhota tha..
school ka rasta lamba tha
yaad hain ki halwai, toy shop, icecream, chatt, kulfi.. kya nahi tha..
ab mobile shop, internet cafe aur mall hain.. par wo shaan nahin...
Shayad duniya simit rahi hain... Shayad duniya simit rahi hain

Jab main chhota tha shaamein bahut lambi hua karti thi
in ghanton patang bazi, wo cycle race, wo chor-sipahi, gilli-danda
thak kar choor ho jaana
Ab shaam nahin hoti din dhalta hain aur sidhey raat hoti hain.. Shayad waqt simit raha hai

Jab main chhota tha tab dosti bahut gahri hua karti thi
dinbhar tolli bana kar ghumna, doston ke ghar khana khana
wo larkiyon ki batein, wo saath rona saath sona..
saath khaana
Dosti kaha hain ab?
rahon par milte hain
'Hye.. Bye' karte huye badh jate hain
naya saal, janam-din, holi, diwali bas 'sms' aate hain...
Shayad rishte badal rahe hain ab

Jab main chhota tha tab khel bhi ajeeb hua karte the
chhupan-chhupai, chor-sipahi, langri taang, tipi tipi top
Ab internet, office, T.V. se fursat hi nahi milti..
Shayad zindagi badal rahi hain par sab se bada sach naa badla jo 'shamshaan bhumi' ke bahar board par likha hain...

''Manzil to yahi thi, bas zindagi guzar gayi.. aate aate.. "